Saturday, January 29, 2011

Allahabad

Something about the place where I have spent memorable moments of my life Allahabad:

Woh Civil Lines ka sama, woh Chowk ki chaat,
Woh Shanti ki Kulfi, Wah usme thi kuch baat.
Woh Kamdhenu ki mithai, woh Loknath ki Rabri,
Woh Spicy Bite ka non-veg….

Woh rikshaw ka saffer, woh Company baag ki hawa,
Woh Katra ki raunak aur rangeen sama.
Woh January ki kadake ki sardi, woh baarishon ke mahiney,
Woh garmi ki chuttiyan, jab chute te they paseeney.
Woh holi ki masti, woh doston ki toli,
Woh diwali ke patakhe aur janmashtmi ki roli
Woh Zamghat ki patange aur woh kabootar Bazi ka khel,
Woh ghar ki chat pe Cricket aur colony ke ladkon ka chaurahe pe mail.
WohKalyani devi ka mahol, woh Ganga ki leheren,
Woh BoatClub ka nazara, Wah uske kya kehene.
Woh Chowk ki galiyan,
Woh Chandrlok ki balcony aur woh Sulaki ki pooriyan
Woh Hotstuff ka Chinese,woh Elchico ka style
Woh Friends pe Coffee jahan hum karte thei smile.
Wo Maikhana pe jashn
Woh school ki life aur woh College ki Zindagi,
Woh College ka rasta aur woh Canteen ki patties
Humne bhi bas dekhe hi the wo saare khel.

Woh KothaParcha ki market,wo highway ke dhabe
woh Shehar ke raaste ,jahan humne safar hain kaate .
Wo Shamiana ke chhole bhature
Wo BHS chauraha , wo station ki Chai

Woh Piya ka paan , kya thi uski shaan ...
Woh Nirala ki chat , aur tez hawa ka maza....

Kya shaan hai Allahabad ki ...Mera Allahabad ..
Itna sab keh diya par dil kehta hai aur bhi kuch kahoon

Wo shehar hain mera apna, jiska naam hai A L L A H A B A D

No comments:

Post a Comment